Kavita

Wrote these lines while on my way back to home from office. As usual, the traffic was painful. But as they say, pain aids creation.

Ek kataar mein rengti hain ye,
Doosri taraf se aane walon se haal-e-safar bhi poochti hain,
Insaaniyat ka bhoj utha ke badh rahi hain,
Thodi chaukanni thodi thaki hui
Kabhi peeche wala tez horn se dara deta hai, kabhi paas se guzarne wala apni bhi adaa deta hai
Kaun kehta hai inki aankhein nahi hai, dil nahi hain
Wo headlights, wo engine kisi chinti ke purzon se kam nahi

Ek ek ki kehne ko pehchaan hai
Ek ek ne apne aagosh mein kayi kahaniyaan rachi hain
Koi josh mein khud kahani ban gayi
To koi hosh mein aane se darti hain,
Ye gaadi kisi chinti se kam nahi

One Response

  1. Good one, keep writing.

Leave a comment